Sad sahyri massage hindi
sad shayari on dard
Categories :- Sad ShayariPosted by :-Durgesh jangid
Dheere Dheere se ab Tere Pyar ka Dard Kam hua,
Na Tere Aane ki Khushi hui Aur na Jane ka Gam hua,
Jab Log Mujhse Puchte hain Hamari Pyar ki Dastaan,
Main keh Deta hun ki ek Fasana tha jo ab Khatm hua.
Sar jhukaoge to Pathar Devta ho Jayega,
Itna Mat Chaho Use wo Bewafa ho Jayega
Ham bhi Darya hain Hamein apna Hunar Maloom h,
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jayega
Kitni Sachai se Mujh se Zindagi ne keh Diya,
Tu Nahi Mera to koi Doosra ho Jayega
Main Khuda ka Naam Lekar Pee Raha hun Dosto
Zehar Bhi is Mein Agar Hoga Dawa ho Jayega
Sab Usi ke hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasman
Main Jahaan bhi Jaunga Usko Pata ho Jayega
Mijaj-e-Duniya Shayar
Posted by :- Durgesh jangid
Zhakam Dene ka Andaz Kuch Aisa h,
Zakham Dekar Puchte h Haal Kaisa h,
Kisi EK Se Kya Gila Karna Yaaro,
Sari Duniya ka Mijaj ek Jaisa h,
hindi sad shayari
Koi Gila Koi Shikwa Nahi Aapse,
Yeh Arzoo h ki Ek Silsila Raha Aapse,
Bas is Baat ki Badi Umeed h Aapse,
Khafa na Hona Agar Hum Khafa Rahe Aapse.
Ads go here
Comments